Tuesday, March 26, 2013

HIMACHAL

HIMACHAL...

Ghanna jungle hai hra bhra,,,
Shawet him se hai dhaki dhra,,,
Ghanne bariksh aur jaad hain,,,
Achal adig pahaad hain...

Masoom yahan ke insaan hain,,,
Meethe jinke bol hain,,,
Sabse alag bhesh bhusha hai inaki,,,
Swarg jaisa maahol hai...

Rishi muniyon ki hai ye bhumi,,,
Yahi devsthan hai,,,
Khuda ka yahin par basera hai,,,
Rehta yahin bhagwaan hai...

Kal kal karti behati nadiyan hain,,,
Sundar sunahari ghatiyan hain,,,
Hare bhare hain yahan khet khaliyaan,,,
khoob fule hain baagwaan...

Seedhe saadhe log yahan ke,,,
Sundar chanchal jinka mann hai,,,
Izzat kamane mein sabhi byasat hain,,,
kya amir kya nirdhann hai...

Zannat ka mazza bhi pa kar toh dekho,,,
Apna mann behla kar toh dekho,,,
Yahin ke hokar reh jaaoge,,,
Ek baar HIMACHAL aa kar toh dekho...

By- Chander Shekhar Mankotia.

No comments:

Post a Comment