Wednesday, March 27, 2013

main badal gya hoon...

jab main chhota bachha tha,,,
kitna pyara aur sachha tha,,,
masti mein hansta gata tha,,,
har baat tujhe batlata tha,,,
Aur ab main kitna badal gya hoon,,,
Duniya daari mein ulajh gya hoon...
Hai na maa, main badal gya hoon....


Bachapan mein har baat main tujhse kehta tha,,,
Sara din khelta aur khush rehta tha,,,
Tab main har baat tujhse batiyata tha,,,
kabhi na dil ki baat tujhse chhupata tha,,,
Chhota tha toh jee bhar ke roo leta tha,,,
Teri godd mein sara sara din so leta tha,,,
Aur ab na jane kitna kuchh tujh se chhupa leta hoon,,,
Rona bhi aaye toh aansu apne aankhon mein hi sukha leta hoon...
Hai na maa, Main badal gya hoon...

Ungali pakadd kar chalna mujhko papa ne hi toh sikhaya tha,,,
Gir kar kaise sambhalna hai ye bhi batlaya tha,,,
Mana ab main daudna seekh gya hoon,,,
Tabhi toh tumse itna door hua hoon,,,
Ye na sochna maa main bhool gya hoon,,,
Bas waqat ke hathon thoda majhboor hua hoon,,,
Ikk din wapis aaunga main,,,
Hal-e-Zindagi sabko sunaunga main,,,
ye jo bhi mujh par aaj hanste hain,,,
Ikk din sabko rulaunga main...
Sach mein MAA main badal gya hoo...

Fir se teri godd mein Sona chahta hoon,,,
Chhoti-2 baat par rona chahta hoon,,,
Fir se woh kagaz ki kashati bna do maa,,,
Fir se woh main mitti ka khilona chahta hoon...
mujhefir mera bachapan lota do,,,
Fir se main wohi khaaw sanjona chahta hoon...

By- Chander Shekhar Mankotia...

No comments:

Post a Comment