Wednesday, March 20, 2013

Sharab...

Shareefon ko badmaash bna deti hai,,,
Hanste huye ko rula deti hai...
Insaan se haivaan bna deti hai,,
Kya kya kaam karwa deti hai...
Sach mein cheez kamaal hai sharaab...

Dukh dard ye dil ke door kare,,,
hal-e-dil batane par majhboor kare,,,
shareef bhi peekar kasoor kare,,,
Na jane kya kya rang dikha deti hai,,,
Sach mein cheez kamaal hai sharab...

peekar isko jhoom jate hain...
Dimaag ke chakkar ghoom jaate hain...
peekar sambhalna mushkil hai yaaro,,,
Ye to badon badon ko behka deti hai,,,
Sach mein cheez kamaal hai sharab...

Nashe mein sab shehanshaah ban jayein,,,
paani ki tarah paise ko bahayein,,,
Hosh mein aakar fir pachhtaayein...
Ye behoshi mein rula deti hai,,,
Sach mein cheez kamaal hai sharab...

© Chander Shekhar Mankotia

No comments:

Post a Comment